ham aise sada-dilon ki niyaz-mandi se buton ne ki hain jahan men khudaiyan kya kya
Related Sher
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mere paanv dabane lag jaa.e
Mehshar Afridi
136 likes
baat karo roothe yaaron se sannaaton se dar jaate hain pyaar akelaa jee leta hai dost akelaa mar jaate hain
Kumar Vishwas
141 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
bol ki lab azaad hain tere bol zabaan ab tak teri hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
unhin ke faiz se bazaar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
20 likes
vo baat saare fasaane men jis ka zikr na tha vo baat un ko bahut na-gawaar guzri hai
Faiz Ahmad Faiz
28 likes
zindagi kya kisi mufalis ki qaba hai jis men har ghadi dard ke paivand lage jaate hain
Faiz Ahmad Faiz
25 likes
ye aarzoo bhi badi cheez hai magar hamdam visaal-e-yaar faqat aarzoo ki baat nahin
Faiz Ahmad Faiz
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's sher.







