har baar mujhe har saans mirii ik baat yahii samjhaati hai kuchh kaam karo kuchh naam karo ye umr nikalti jaati hai main kahtaa hooñ ki samjho to koii baat nahin aisi lekin is duniya men shohrat kii havas mujhe andar se kha jaati hai
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
jaun tumhe ye daur mubarak door gham-e-ayyaam se ho ek paagal ladki ko bhula kar ab to bade aaraam se ho
Jaun Elia
159 likes
mujhe azaad kar do ek din sab sach bataa kar tumhaare aur uske darmiyaañ kya chal raha hai
Tehzeeb Hafi
222 likes
main zindagi men aaj pahli baar ghar nahin gaya magar tamaam raat dil se maa ka dar nahin gaya bas ek dukh jo mere dil se umr bhar na jaayega us..ko kisi ke saath dekh kar main mar nahin gaya
Tehzeeb Hafi
172 likes
More from nakul kumar
kaho kya ho gaya jo mil na paa.e yaar se apne nihaaro chaand ko phir yaar ke ghar dwaar ko dekho
nakul kumar
1 likes
kuchh nahin hai zindagi barbaad hai ab to mar gaya hooñ main muhabbat ko manaane men kaise bhi gar ho sake mujh...ko rihaa kar de rah nahin saktaa main ab is qaidkhaane men
nakul kumar
1 likes
jee bhar gaya hai ab to jee bhar chaahne waalon se bhaag raha hooñ main bhi mujhse bhaagne waalon se
nakul kumar
1 likes
inheen pichhle dinon se kuchh mujhe is baat ka gham hai agar main ro raha hooñ to tiri kyun aankh puranam hai tiri tasveer hai ye raat hai baarish hai baadal bhi magar phir bhi na jaane kyun yahaañ kuchh to abhii kam hai
nakul kumar
1 likes
main na kahti hooñ ki laao chaand taare todakar bas mujhe is haal men aise na jaao chhodkar tum jo hardam hi mujhe uljhaayega kahte rahe ja rahe ho zindagi se kyun bhala munh modkar
nakul kumar
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on nakul kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with nakul kumar's sher.







