kaho kya ho gaya jo mil na paa.e yaar se apne nihaaro chaand ko phir yaar ke ghar dwaar ko dekho
Related Sher
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
muddaton baad ik shaKHs se milne ke li.e aaina dekha gaya baal sanwaare ga.e
Jaun Elia
314 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
gulaab KHvaab davaa zahar jaam kya kya hai main aa gaya hooñ bataa intizaam kya kya hai
Rahat Indori
263 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
More from nakul kumar
tumhein jab waqt mil jaa.e chale aanaa kabhi milne ubhar aayi hain kuchh baatein vahii sab baat karne hain tiri aankhoñ men rahkar phir naye kuchh din ugaane hain tiri agar tale vo kuchh puraani raat karne hain
nakul kumar
1 likes
jee bhar gaya hai ab to jee bhar chaahne waalon se bhaag raha hooñ main bhi mujhse bhaagne waalon se
nakul kumar
1 likes
kuchh nahin hai zindagi barbaad hai ab to mar gaya hooñ main muhabbat ko manaane men kaise bhi gar ho sake mujh...ko rihaa kar de rah nahin saktaa main ab is qaidkhaane men
nakul kumar
1 likes
main na kahti hooñ ki laao chaand taare todakar bas mujhe is haal men aise na jaao chhodkar tum jo hardam hi mujhe uljhaayega kahte rahe ja rahe ho zindagi se kyun bhala munh modkar
nakul kumar
3 likes
tum jaise naa-muraad kii sunta raha hai vo jisne nahin sooni kabhi apni bhi aaj tak
nakul kumar
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on nakul kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with nakul kumar's sher.







