har mulaqat ka anjam judai kyuun hai ab to har vaqt yahi baat satati hai hamen
Related Sher
mehrbaan ham pe har ik raat hua karti thii aankh lagte hi mulaqaat hua karti thii hijr ki raat hai aur aankh men aansoo bhi nahin aise mausam men to barsaat hua karti thii
Ismail Raaz
140 likes
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain itnaa darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain mod hota hai jawaani ka sambhalne ke li.e aur sab log yahiin aa ke fisalte kyun hain
Rahat Indori
133 likes
padi rahne do insaano ki laashen zameen ka bojh halka kyun karen ham
Jaun Elia
129 likes
vo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin use ik KHoob-soorat mod de kar chhodna achha
Sahir Ludhianvi
206 likes
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
Sahir Ludhianvi
174 likes
More from Shahryar
tamaam umr ka hisaab maangti hai zindagi ye meraa dil kahe to kya ki khud se sharmasaar hai
Shahryar
0 likes
jahaan men hone ko ai dost yuuñ to sab hogaa tere labon pe mere lab hon aisa kab hogaa
Shahryar
0 likes
shadeed pyaas thii phir bhi chhua na paani ko main dekhta raha dariyaa tiri ravaani ko
Shahryar
26 likes
ham khush hain ha men dhoop viraasat men mili hai ajdaad kahii ped bhi kuchh bo ga.e hote
Shahryar
32 likes
na khush-gumaan ho is par tu ai dil-e-saada sabhi ko dekh ke vo shaKHs muskurata hai
Shahryar
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's sher.







