ho gaya gyaarah ka to dikhne lagin majbooriyaan bees ka hote hi apni naujawaani chhod dii
Related Sher
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
saath chalte ja rahe hain paas aa sakte nahin ik nadi ke do kinaaron ko mila sakte nahin uski bhi majbooriyaan hain meri bhi majbooriyaan roz milte hain magar ghar men bataa sakte nahin
Bashir Badr
85 likes
mujh se mat poochho ke us shaKHs men kya achha hai achchhe achhon se mujhe meraa bura achha hai kis tarah mujh se muhabbat men koi jeet gaya ye na kah dena ke bistar men badaa achha hai
Tehzeeb Hafi
566 likes
aate aate mira naam sa rah gayaus ke honton pe kuchh kaanpata rah gaya
Waseem Barelvi
83 likes
kitaab film safar ishq shayari aurat kahaan kahaan na gaya KHud ko dhoondhta hua main
Jawwad Sheikh
109 likes
More from nakul kumar
tumhein jab waqt mil jaa.e chale aanaa kabhi milne ubhar aayi hain kuchh baatein vahii sab baat karne hain tiri aankhoñ men rahkar phir naye kuchh din ugaane hain tiri agar tale vo kuchh puraani raat karne hain
nakul kumar
1 likes
kuchh nahin hai zindagi barbaad hai ab to mar gaya hooñ main muhabbat ko manaane men kaise bhi gar ho sake mujh...ko rihaa kar de rah nahin saktaa main ab is qaidkhaane men
nakul kumar
1 likes
jiski KHaatir she'r likhe hain ashk bhare paimaanon seus ladki ka naam ghazal hai she'r nahin kah paati hai koii to samjhaao us..ko dil meraa veeraana hai vo ladki jo KHvaab men akshar aati hai rah jaati hai
nakul kumar
5 likes
kaho kya ho gaya jo mil na paa.e yaar se apne nihaaro chaand ko phir yaar ke ghar dwaar ko dekho
nakul kumar
1 likes
rakh liya hathiyaar ik taiyaar kar ke maar denge par mujhe beemaar kar ke kashtiyon kii bastiyon men kya ruke ham doobne waale hain dariyaa paar kar ke
nakul kumar
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on nakul kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with nakul kumar's sher.







