in ankhon ko jab se basarat mili hai siva tere kuchh main ne dekha nahin hai
Related Sher
kuchh na kuchh bolte raho hamse chup rahoge to log sun lenge
Fahmi Badayuni
112 likes
sair kar duniya ki ghaafil zindagaani phir kahaan zindagi gar kuchh rahi to ye jawaani phir kahaan
Khwaja Meer Dard
127 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
ham to kuchh der hañs bhi lete hain dil hamesha udaas rehta hai
Bashir Badr
114 likes
jo duniya ko sunaai de use kahte hain khaamoshi jo aankhoñ men dikhaai de use toofaan kahte hain
Rahat Indori
132 likes
More from Aasi Ghazipuri
vo kahte hain main zindagaani hooñ teri ye sach hai to un ka bharosa nahin hai
Aasi Ghazipuri
17 likes
meri aañkhen aur deedaar aapka ya qayamat aa gaii ya KHvaab hai
Aasi Ghazipuri
25 likes
lab-e-naazuk ke bose luun to missee munh banaati hai kaf-e-paa ko agar choomun to mehn dii rang laati hai
Aasi Ghazipuri
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aasi Ghazipuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Aasi Ghazipuri's sher.







