jahaan baam-e-falak pe chaand chamka ho vahaañ taare bhi apna haq jataate hain
Related Sher
jahaan se jee na lage tum wahin bichhad jaana magar KHuda ke li.e be-vafaaii na karna
Munawwar Rana
85 likes
tere jaane ke baad bas yaaden har taraf yaad-yaad bas yaaden sona chaan dii zameen ghar sab kuchh hain meri jaayadaad bas yaaden
Sandeep Thakur
81 likes
chaand chehra zulf dariyaa baat KHushboo dil chaman ik tujhe dekar KHuda ne de diya kya kya mujhe
Bashir Badr
79 likes
gham aur khushi men farq na mehsoos ho jahaan main dil ko us maqaam pe laata chala gaya
Sahir Ludhianvi
76 likes
saare jahaan se achha hindostaan hamaara ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaara
Allama Iqbal
77 likes
More from Saba Rao
yatiimon ka KHuda ne ghar basaaya hai gareebon ko bhi unka haq dilaayaa hai zulaikhaa kii tarah tu maang maula se jise dil kii tijori men chhupaaya hai
Saba Rao
0 likes
tire kehne pe kya main aam ho jaaun bina hi baat ke neelaam ho jaaun
Saba Rao
0 likes
gulon kii khushboo se mahki ada hooñ main yuñ kaanton men bikhar ke aam ho jaaun wafadari mohabbat men nibha le tu badi shiddat se main badnaam ho jaaun
Saba Rao
0 likes
Zara imdad unki bhi karo tum ab
Saba Rao
1 likes
auron kii baatein sun ke jhoota mujhe bataaya hai baagon men jab phool khile fazaa ne jashn manaaya hai
Saba Rao
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saba Rao.
Similar Moods
More moods that pair well with Saba Rao's sher.







