jahaan se jee na lage tum wahin bichhad jaana magar KHuda ke li.e be-vafaaii na karna
Related Sher
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
uski zulfen udaas ho jaa.e is-qadar roshni bhi theek nahin tumne naaraz hona chhod diya itni naarazgi bhi theek nahin
Fahmi Badayuni
128 likes
pyaar do baar thodii hota hai ho to phir pyaar thodii hota hai yahii behtar hai tum use roko mujhse inkaar thodii hota hai
Zubair Ali Tabish
138 likes
mas'ala ye nahin ki ishq hua hai ham ko mas'ala ye hai ki izhaar kiya jaana hai
Rajesh Reddy
127 likes
kisi gali men kiraye pe ghar liya usne phir us gali men gharo ke kiraye badhne lage
Umair Najmi
162 likes
More from Munawwar Rana
na jaane kaisi mahak aa rahi hai bastii se vahii jo doodh ubalne ke baad aati hai
Munawwar Rana
19 likes
KHaamushi kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai zulm kar lo jab talak ye bezbaani aur hai
Munawwar Rana
0 likes
ye sach hai nafraton ki aag ne sab kuchh jala daala magar ummeed ki thandi hawaaein roz aati hain
Munawwar Rana
23 likes
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
maidaan chhod dene se main bach to jaaunga lekin jo ye khabar meri maa tak pahunch gayi
Munawwar Rana
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







