jahaan pe maine tujhe pahli baar dekha tha vahaañ pe phool rakhe maine umr bhar rakhe
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
296 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
More from Aslam Rashid
dard chehra pahan ke aaya tha teraa chehra tha so qubool kiya
Aslam Rashid
26 likes
har dukh ka hai ilaaj use dekhte raho sabkuchh bhula ke aaj use dekhte raho dekha use to dil ne ye be-saakhta kaha chhodo ye kaam kaaj use dekhte raho
Aslam Rashid
55 likes
main sun raha hooñ phone pe khaamoshiyaan teri main jaanta hooñ aaj se kya kya tamaam hai
Aslam Rashid
63 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aslam Rashid.
Similar Moods
More moods that pair well with Aslam Rashid's sher.







