jise izzat nahin dil ki use yaqasar juda kar do kisi ko phool dena hai to phir us..ko dikha kar do parinde mar rahe hain qaid men tumko khabar hai kya zaraa un par taras khao meri maano rihaa kar do
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
gale milnaa na milnaa to teri marzi hai lekin tere chehre se lagta hai teraa dil kar raha hai
Tehzeeb Hafi
575 likes
dekho ham koi wahshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hain
Varun Anand
300 likes
More from "Nadeem khan' Kaavish"
maut se milnaa hai mujh...ko poochna hai ik pata vo pata jo maut bhi dene men sharma jaayegi
"Nadeem khan' Kaavish"
1 likes
saath tha jin shaamon men tu chhodkar vo ab to har shaamen suhaani likh rahe hain
"Nadeem khan' Kaavish"
2 likes
meri mayyat pe sabne hi tauba kiya kyunki aankhoñ men teri hi tasveer thii
"Nadeem khan' Kaavish"
2 likes
shaheed-e-aazam bhagatsingh aankhoñ men vo aañsu nahin kuchh KHvaab sanjoya karta tha watan ki aazaa dii ke khaatir khooni aañsu roya karta tha aazaa dii ka deewaana tha woh ragon men ubaal khandaani tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha angaaron par chalkar jisne ek nayi raah banaai thius matwaale she'r ne qasam aazaa dii ki khaai thii chahe umr kam rahi ho lekin woh ek lambi kahaanii tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha jiske dil men sirf aur sirf inqilaab ki aag thii aankhoñ men thii jaltee jwaalaa libaas jiska tyaag thii har dil men nishaan chhod gaya vo bharat maa ki nishaani tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha jab tak dharti-ambar honge mit na sakega naam tumhaara bharat ka har baccha-baccha yaad rakhega kaam tumhaara samandar se bhi gahra tha jo KHud men hi ek ravaani tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha
"Nadeem khan' Kaavish"
2 likes
ye jo aañkhen hain na teri yahaañ ik ghar hamaara tha
"Nadeem khan' Kaavish"
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on "Nadeem khan' Kaavish".
Similar Moods
More moods that pair well with "Nadeem khan' Kaavish"'s sher.







