jitna pukhta bhi ho dil jism se baahar rakhna taaki toote bhi to phir seene men malba na bane
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
hamko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai
Mirza Ghalib
489 likes
More from Danish Naqvi
dekho mujhe ab meri jagah se na hilaana phir tum mujhe tarteeb se rakhkar nahin jaate
Danish Naqvi
32 likes
jaane ab vo kiske saath nikalta hogaa raaton ko jaane kaun lagata hogaa do ghante taiyaari men
Danish Naqvi
34 likes
jaate hue kamre ki kisi cheez ko choo de main yaad karunga ke tere haath lage the
Danish Naqvi
42 likes
so tum mujhe hairatzaada aankhoñ se na dekho kuchh log sambhal jaate hain sab mar nahin jaate
Danish Naqvi
39 likes
to dekh lena hamaare bacchon ke baal jal dii safed honge hamaari chho dii hui udaasi se saath naslein udaas hongi
Danish Naqvi
57 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Danish Naqvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Danish Naqvi's sher.







