kaun dekar gaya dua dil ko umr bhar dard hi raha dil ko dastaken de raha hai kuchh din se hamse kya kaam pad gaya dil ko
Related Sher
hamko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai
Mirza Ghalib
489 likes
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
hazaar ishq karo lekin itnaa dhyaan rahe ki tum ko pahli mohabbat ki baddua na lage
Abbas Tabish
179 likes
More from Subhan Asad
ye meri zid hi galat thii ki tujhsa ban jaaun main ab na apni tarah hooñ na tere jaisa hooñ hamaare beech zamaane ki badgumaani hai main zindagi se zaraa kam hi baat karta hooñ
Subhan Asad
23 likes
kabhi na laut ke aaya vo shakhs kahtaa tha zara sa hijr hai bas sarsari bichhadna hai
Subhan Asad
24 likes
mere shayar main vahii husne-dilaawez jise chaahne waale bahut jaanne waale kam hain
Subhan Asad
25 likes
jab bhi us kooche men jaana padta hai zakhmon par tezaab lagana padta hai uske ghar se door nahin hai meraa ghar raaste men par ek zamaana padta hai
Subhan Asad
24 likes
tune socha bhi hai jaanaan ki tere vaade ne kitnii sadiyon se nahin pahna amal ka paikar
Subhan Asad
18 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Subhan Asad.
Similar Moods
More moods that pair well with Subhan Asad's sher.







