KHushi meri use kab yaar ye to raas aayi hai kahaan naadaan ladki ab mire to paas aayi hai mire to zehan se yaaden nikalti kyun nahin uski magar kyun yaad rahne saath baarah-maas aayi hai
Related Sher
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
ghar men bhi dil nahin lag raha kaam par bhi nahin ja raha jaane kya KHauf hai jo tujhe choom kar bhi nahin ja raha raat ke teen bajne ko hai yaar ye kaisa mahboob hai jo gale bhi nahin lag raha aur ghar bhi nahin ja raha
Tehzeeb Hafi
294 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
koi shahar tha jiski ek gali meri har aahat pahchaanti thii mere naam ka ik darwaaza tha ik khidki mujh...ko jaanti thii
Ali Zaryoun
321 likes
More from Lalit Mohan Joshi
kaho ha men bhala bura ya kuchh bhi tum yahaañ magar kahe jo sach vo aaina bhi paas ho
Lalit Mohan Joshi
0 likes
zabaan meethi rakho ya talkh tum magar sach kehne kii aadat rakho
Lalit Mohan Joshi
3 likes
mushk aane maut kii mujh...ko lagii ishq duniya karne hi mujh...ko lagii kya kahooñ main aisi nadaani ko ab pyaar men phir chhalne bhi mujh...ko lagii
Lalit Mohan Joshi
3 likes
main bhale is bazm men anjaan hooñ baad marne ke to gaaya jaayega
Lalit Mohan Joshi
3 likes
fard-e-bashar ho tum faqat kyun bolte ho tum saqat maghroor ho KHud ilm men ye aib kyun laaye faqat
Lalit Mohan Joshi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Lalit Mohan Joshi.
Similar Moods
More moods that pair well with Lalit Mohan Joshi's sher.







