kya kahun dida-e-tar ye to mira chehra hai sang kat jaate hain barish ki jahan dhaar gire
Related Sher
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
suhaagan bhi bataa degi magar tum poochho vidhwa se ye mangalsutra zever ke alaava bhi bahut kuchh hai ye kya ik maqbare ko aakhri had maan baithe ho mohabbat sang-e-marmar ke alaava bhi bahut kuchh hai
Zubair Ali Tabish
126 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
More from Shakeb Jalali
zindagi men mere us ne andhera kiya aur us..ko sabhi raushni kahte the
0 likes
zaraa tum apni had men rahne ki koshish karo varna tumhaare aib se ik din tumhein badnaam kar denge
0 likes
zaraa rakh le tu naam uskaa labon par KHuda ki ibadat men raahat milegi
0 likes
tumhein pata nahin yahaañ ki kaun hooñ yahaañ ka main salaam karta hai mujhe yahaañ ka baadshaah bhi
0 likes
tum utar jaao in nigaahon men ik nazar dekhne se kya hogaa
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shakeb Jalali.
Similar Moods
More moods that pair well with Shakeb Jalali's sher.







