main KHud bhi ehtiyaatan us gali se kam guzarta hooñ koi maasoom kyuuñ mere li.e badnaam ho jaaye
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
296 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
gulaab KHvaab davaa zahar jaam kya kya hai main aa gaya hooñ bataa intizaam kya kya hai
Rahat Indori
263 likes
More from Bashir Badr
saath sanduqon men bhar kar dafn kar do nafratein aaj insaan ko mohabbat kii zaroorat hai bahut
Bashir Badr
17 likes
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
isee li.e to yahaañ ab bhi ajnabi hooñ main tamaam log farishte hain aadmi hooñ main
Bashir Badr
31 likes
tujhe bhool jaane ki koshishein kabhi kaamyaab na ho sakeen tiri yaad shaakh-e-gulaab hai jo hawa chali to lachak gaii
Bashir Badr
32 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







