main to ai ishq teri kooza-gari jaanta hooñ tune ham do ko milaaya to banaa ek hi shaKHs
Related Sher
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
gulaab KHvaab davaa zahar jaam kya kya hai main aa gaya hooñ bataa intizaam kya kya hai
Rahat Indori
263 likes
ham ko neeche utaar lenge log ishq latka rahega pankhe se
Zia Mazkoor
224 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
teri KHushiyon ka sabab yaar koi aur hai nadosti mujhse hai aur pyaar koi aur hai na
Ali Zaryoun
253 likes
More from Abbas Tabish
mujh ko us kii aankhoñ men koodne kii aadat hai main tumhein bataaunga khud-kushi ke baare men
Abbas Tabish
0 likes
yaar ik baar parindon ko hukoomat de do ye kisi shahar ko maqtal nahin hone denge ye jo chehre hain yahaañ chaand se chehre taabish ye mira ishq mukammal nahin hone denge
Abbas Tabish
37 likes
shaayad kisi bala ka tha saaya darakht par chidiyon ne raat shor machaaya darakht par
Abbas Tabish
32 likes
mire aansoo mire andar hi gire rone se jee aur bojhal ho gaya
Abbas Tabish
29 likes
dekh kaise dhul ga.e hai giryaa-o-zaari ke baad aasmaañ baarish ke baad aur main azaadari ke baad isse badh kar to tujhe koi hunar aata nahin sochta hooñ kya karega dil azaari ke baad
Abbas Tabish
37 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Tabish's sher.







