shaayad kisi bala ka tha saaya darakht par chidiyon ne raat shor machaaya darakht par
Related Sher
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
Sahir Ludhianvi
174 likes
tumhaare baad ye dukh bhi to sahna pad raha hai kisi ke saath majboori men rahna pad raha hai
Ali Zaryoun
131 likes
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
More from Abbas Tabish
kya tamasha hai ki sab mujh...ko bura kahte hain aur sab chahte hain meri tarah ka hona
Abbas Tabish
27 likes
mire aansoo mire andar hi gire rone se jee aur bojhal ho gaya
Abbas Tabish
29 likes
mujh ko us kii aankhoñ men koodne kii aadat hai main tumhein bataaunga khud-kushi ke baare men
Abbas Tabish
0 likes
main to ai ishq teri kooza-gari jaanta hooñ tune ham do ko milaaya to banaa ek hi shaKHs
Abbas Tabish
4 likes
tumhaare shahar men tohmat hai zinda rahna bhi jinhen aziz theen jaanen vo marte jaate hain
Abbas Tabish
42 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abbas Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Abbas Tabish's sher.







