mas'ala kya hai zindagi ke saath khwaab hai aankhoñ men nami ke saath ek tasveer main ne kheenchi kal main tha tasveer men pari ke saath
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
gulaab KHvaab davaa zahar jaam kya kya hai main aa gaya hooñ bataa intizaam kya kya hai
Rahat Indori
263 likes
More from Raj Tiwari
zindagi ik khoobsurat haadisa hai shakl miTTi ki ghadi bahti hawa hai aansuon se tum sadaa do aayega vo haal-e-dil vo jaanta hai vo KHuda hai
Raj Tiwari
1 likes
vahaañ muskuraati hui dhoop hai jahaan raushni ham bichaate ga.e
Raj Tiwari
1 likes
zindagi har sabq saleeqe se jaate jaate sikhaate jaati hai
Raj Tiwari
1 likes
shaad-o-aabaad rahe safha har ik dil ka raaj in kitaabon se gulaabon kii mahak aati hai
Raj Tiwari
1 likes
tum ne bas dekha hai dilon ko sehra hote ham ne dekha hai aankhoñ ko dariyaa hote
Raj Tiwari
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Raj Tiwari.
Similar Moods
More moods that pair well with Raj Tiwari's sher.







