mehnat to karta hooñ phir bhi ghar khaali hai baabuji miTTi ke kuchh deepak le lo diwali hai baabuji miTTi bech raha hooñ jis men koi jaal fareb nahin sona chaan dii doodh mithaai sab jaali hai baabuji
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
More from Gyan Prakash Akul
bahar se khaariz hooñ ye maaloom hai par tumhaari hi ghazal ka she'r hooñ
Gyan Prakash Akul
43 likes
khushboo ki barsaat nahin kar paate hain ham KHud hi shuruaat nahin kar paate hain jis ladki ki baatein karte hain sabseus ladki se baat nahin kar paate hain
Gyan Prakash Akul
83 likes
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Gyan Prakash Akul.
Similar Moods
More moods that pair well with Gyan Prakash Akul's sher.







