mere watan ko in siyaasi logon ne hi kha liya khabar men ab khabar kahaan vahii do-chaar rahte hain
Related Sher
kabootar ishq ka utre to kaise tumhaari chat pe nigraani bahut hai iraada kar liya gar khudkushi ka to KHud ki aankh ka paani bahut hai
Kumar Vishwas
93 likes
main bhi bahut ajeeb hooñ itnaa ajeeb hooñ ki bas KHud ko tabaah kar liya aur malaal bhi nahin
Jaun Elia
148 likes
hosh waalon ko khabar kya be-khu dii kya cheez hai ishq kijeye phir samjhiye zindagi kya cheez hai
Nida Fazli
145 likes
janaaze par mere likh dena yaaron mohabbat karne vaala ja raha hai
Rahat Indori
125 likes
na hua naseeb qaraar ae jaan havas ae qaraar bhi ab nahin tira intizaar bahut kiya tira intizaar bhi ab nahin tujhe kya khabar mah o saal ne ha men kaise zakham diye yahaañ tiri yaadgaar thii ik khalish tiri yaadgaar bhi ab nahin
Jaun Elia
86 likes
More from "Nadeem khan' Kaavish"
maut se milnaa hai mujh...ko poochna hai ik pata vo pata jo maut bhi dene men sharma jaayegi
"Nadeem khan' Kaavish"
1 likes
meri mayyat pe sabne hi tauba kiya kyunki aankhoñ men teri hi tasveer thii
"Nadeem khan' Kaavish"
2 likes
yahaañ ab kaun dil ka kaayal hai bataa haan kuchh libaas hote to kuchh baat thii
"Nadeem khan' Kaavish"
2 likes
shaheed-e-aazam bhagatsingh aankhoñ men vo aañsu nahin kuchh KHvaab sanjoya karta tha watan ki aazaa dii ke khaatir khooni aañsu roya karta tha aazaa dii ka deewaana tha woh ragon men ubaal khandaani tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha angaaron par chalkar jisne ek nayi raah banaai thius matwaale she'r ne qasam aazaa dii ki khaai thii chahe umr kam rahi ho lekin woh ek lambi kahaanii tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha jiske dil men sirf aur sirf inqilaab ki aag thii aankhoñ men thii jaltee jwaalaa libaas jiska tyaag thii har dil men nishaan chhod gaya vo bharat maa ki nishaani tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha jab tak dharti-ambar honge mit na sakega naam tumhaara bharat ka har baccha-baccha yaad rakhega kaam tumhaara samandar se bhi gahra tha jo KHud men hi ek ravaani tha jisne sabkuchh luta diya apna vo veer bhagat balidaani tha
"Nadeem khan' Kaavish"
2 likes
nivaale cheen letii hai hukoomat apne haathon se khudaaya bhookh lagana bhi yahaañ par ik siyaasat hai
"Nadeem khan' Kaavish"
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on "Nadeem khan' Kaavish".
Similar Moods
More moods that pair well with "Nadeem khan' Kaavish"'s sher.







