mirii jaañ bebaasi kya dard kya hai ye unse poochna jo be-zabaan hain
Related Sher
pyaar do baar thodii hota hai ho to phir pyaar thodii hota hai yahii behtar hai tum use roko mujhse inkaar thodii hota hai
Zubair Ali Tabish
138 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
agar hai ishq saccha to nigaahon se bayaañ hogaa zabaan se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
Bhaskar Shukla
130 likes
ab lagta hai theek kaha tha ghalib ne badhte-badhte dard davaa ho jaata hai
Madan Mohan Danish
131 likes
dhoop men niklo ghataon men naha kar dekho zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho
Nida Fazli
136 likes
More from Ajeetendra Aazi Tamaam
tamaam umr ha men saath saath chalna hai bas itnaa kah ke safar kar liya juda usne
Ajeetendra Aazi Tamaam
0 likes
tumhaare shahr men aakar thikaana dhundhte hain ham apne shahr men hote to ghar gaye hote
Ajeetendra Aazi Tamaam
0 likes
ye maasoom chehra ye qaatil nigaahen bahut khoobsurat hain saari adaayein
Ajeetendra Aazi Tamaam
1 likes
ye kah kar rooh ne chhodaa badan ik kisi ka bojh koi kyuuñ uthaaye
Ajeetendra Aazi Tamaam
1 likes
ye kabhi bhi daga nahin karti chal kitaabon se ishq karte hain
Ajeetendra Aazi Tamaam
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ajeetendra Aazi Tamaam.
Similar Moods
More moods that pair well with Ajeetendra Aazi Tamaam's sher.







