mohabbat ke gharo ke kacche-pan ko ye kahaan samjhen in aankhoñ ko to bas aata hai barsaatein badi karna
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
teri aankhoñ men jo ik qatra chhupa hai main hooñ jisne chhup chhup ke teraa dard saha hai main hooñ ek patthar ki jise aanch na aayi tu hai ek aaina ki jo toot chuka hai main hooñ
Fauziya Rabab
97 likes
ye uski mohabbat hai ki rukta hai tere paas varna teri daulat ke siva kya hai tere paas
Zia Mazkoor
88 likes
More from Waseem Barelvi
jaisa dikhaai dene kii karte ho koshishein main khoob jaanta hooñ ki aise nahin ho tum
Waseem Barelvi
23 likes
nazarandaaz karne kii saza deni thii tujh ko tere dil men utar jaana zaroori ho gaya tha
Waseem Barelvi
0 likes
tumhaara pyaar to saanson men saans leta hai jo hota nashsha to ik din utar nahin jaata
Waseem Barelvi
24 likes
kuchh to kar aadaab-e-mahfil ka lihaaz yaar ye pahluu badalna chhod de
Waseem Barelvi
29 likes
jaake lautaa hai kahiin koii hawa ka jhonka tumne kya soch ke darwaaza khula rakkha hai
Waseem Barelvi
24 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's sher.







