muddaton baa'd mayassar hua maan ka anchal muddaton baa'd hamen niind suhani aai
Related Sher
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
hamesha ik doosre ke haq men dua karenge ye tay hua tha milen ya bichhade magar tumheen se vafaa karenge ye tay hua tha
Shabeena Adeeb
87 likes
chalti phirti hui aankhoñ se azaan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai maa dekhi hai
Munawwar Rana
88 likes
milnaa hamaara kam hua phir baat kam hui qiston men mujh gareeb ki khairaat kam hui
Bhawana Srivastava
75 likes
mujh ko is lafz ka matlab nahin maaloom magar aapki hamm ne mujhe soch men daala hua hai
Ammar Iqbal
84 likes
More from Iqbal Ashhar
aaj phir neend ko aankhoñ se bichhadte dekha aaj phir yaad koi chot puraani aayi
Iqbal Ashhar
29 likes
ha men bhi waqt ne patthar sifat banaa daala humeen the mom kii soorat pighalne waale log sitam to ye ki hamaari safoon men shaamil hain charaagh bujhte hi KHema badlne waale log
Iqbal Ashhar
15 likes
vo jo KHvaab the mere zehan men na main kah sakaa na main likh sakaa ki zabaan mili to kati hui jo qalam mila to bika hua
Iqbal Ashhar
42 likes
vo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar aur main naadaan ye samjha ki vo meraa hua
Iqbal Ashhar
40 likes
muddaton b'ad muyassar hua maa ka aanchal muddaton b'ad ha men neend suhaani aayi
Iqbal Ashhar
47 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iqbal Ashhar.
Similar Moods
More moods that pair well with Iqbal Ashhar's sher.







