nasha pila ke girana to sab ko aata hai mazaa to tab hai ki girton ko thaam le saaqi
Related Sher
vo paas kya zaraa sa muskuraa ke baith gaya main is mazaaq ko dil se laga ke baith gaya darkhat kaat ke jab thak gaya lakadhara to ik darkhat ke saa.e men ja ke baith gaya
Zubair Ali Tabish
99 likes
ab zaroori to nahin hai ki vo sab kuchh kah de dil men jo kuchh bhi ho aankhoñ se nazar aata hai main usse sirf ye kahtaa hoon ki ghar jaana hai aur vo maarnay marne pe utar aata hai
Tehzeeb Hafi
285 likes
mazaa to tab hai ki tum haar ke bhi hanste raho hamesha jeet hi jaana kamaal thodii hai
Parveen Shakir
87 likes
ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho
Shakeel Azmi
87 likes
laut kar nahin aata kabr se koi lekin pyaar karne waalon ko intzaar rehta hai
Shabeena Adeeb
85 likes
More from Allama Iqbal
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
6 likes
ghulaami men na kaam aati hain shamshirein na tadbeerein jo ho zauq-e-yaqeen paida to kat jaati hain zanjeeren
Allama Iqbal
9 likes
baagh-e-behisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun kaar-e-jahaan daraaz hai ab mira intizaar kar
Allama Iqbal
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







