phone bhi aaya to shikwe ke li.e phool bhi bheja to murjhaya hua
Related Sher
teraa banta tha ki tu dushman ho apne haathon se khilaaya tha tujhe teri gaali se mujhe yaad aaya kitne taano se bachaaya tha tujhe
Ali Zaryoun
114 likes
ye mat bhoolo ki ye lamhaat ham ko bichhadne ke li.e milva rahe hain
Jaun Elia
143 likes
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
tu bhi kab mere mutaabik mujhe dukh de paaya kis ne bharna tha ye paimaana agar khaali tha ek dukh ye ki tu milne nahin aaya mujhse ek dukh ye hai us din meraa ghar khaali tha
Tehzeeb Hafi
162 likes
zindagi bhar ke li.e dil pe nishaani pad jaa.e baat aisi na likho likh ke mitaani pad jaa.e
Aadil Rasheed
100 likes
More from Balmohan Pandey
sukhanfahmon ki bastii men sukhun ki zindagi kam hai jahaan shaair ziyaada hain wahaan par shaayri kam hai main jugnoo hooñ ujaale men bhala kya ahmiyat meri vahaañ le jaaie mujh...ko jahaan par raushni kam hai
Balmohan Pandey
40 likes
hamaara ishq ibadat ka agla darja hai KHuda ne chhod diya to tumhaara naam liya ghamon se bair tha so hamne khudkushi kar li shajar ne gir ke parindon se inteqaam liya
Balmohan Pandey
40 likes
jo she'r samjhe mujhe daad vaad deta rahe gale lagaaye jise gham samajh men aa jaa.e
Balmohan Pandey
46 likes
vo meri duniya ka hissa thii meri duniya nahin ik shajar katne se zakan veeraan ho jaayega kya
Balmohan Pandey
47 likes
isi li.e main bichhadne par sogwaar nahin sukoon pahli zaroorat hai teraa pyaar nahin javaab dhundhne men umr mat ganwa dena sawaal karti hai duniya par etbaar nahin
Balmohan Pandey
55 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Balmohan Pandey.
Similar Moods
More moods that pair well with Balmohan Pandey's sher.







