pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahan mai-kade men koi chhota na bada jaam utha
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain mohabbat ki isee miTTi ko hindustan kahte hain
Rahat Indori
212 likes
ye shahar-e-ajnabi men ab kise ja kar bataayen ham kahaan ke rahne waale hain kahaan ki yaad aati hai
Ashu Mishra
117 likes
zameen pe ghar banaya hai magar jannat men rahte hain hamaari khush-naseebi hai ki ham bharat men rahte hain
Mehshar Afridi
122 likes
ab dost koi laao mukaabil men hamaare dushman to koi kad ke barabar nahin niklaa
Munawwar Rana
117 likes
More from Bashir Badr
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
unhin raaston ne jin par kabhi tum the saath mere mujhe rok rok poocha tira hum-safar kahaan hai
Bashir Badr
39 likes
ye shabnami lahjaa hai aahista ghazal padhna titli ki kahaanii hai phoolon ki zabaani hai
Bashir Badr
24 likes
main tere saath sitaaron se guzar saka hooñ kitna aasaan mohabbat ka safar lagta hai
Bashir Badr
34 likes
dil ki bastii puraani dilli hai jo bhi guzra hai usne lootaa hai
Bashir Badr
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







