sab shah bhi ghode bhi piyaade bhi hai uske aur is pe woh chaalein bhi ghazab soch raha hai
Related Sher
tumhaari aankhoñ ki tauheen hai zara socho tumhaara chaahne vaala sharaab peeta hai
Munawwar Rana
123 likes
tariqe aur bhi hain is tarah parkha nahin jaata charaaghon ko hawa ke saamne rakha nahin jaata mohabbat faisla karti hai pahle chand lamhon men jahaan par ishq hota hai vahaañ socha nahin jaata
Abrar Kashif
130 likes
main sochta hooñ na jaane kahaan se aa ga.e hain hamaare beech jamaane kahaan se aa ga.e hain
Ali Zaryoun
61 likes
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga
Tehzeeb Hafi
285 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aabi Makhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Aabi Makhnavi's sher.







