shikaayat jo bhi hai niptaaiye ghar meinna deeje hansne ka ik mauka ghairoon ko
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
kisi gali men kiraye pe ghar liya usne phir us gali men gharo ke kiraye badhne lage
Umair Najmi
162 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
More from Irshad Siddique "Shibu"
tu ho kar bhi saath mira nain hota kya ye mere saath bura nain hota patthar patthar hota hai aur kuchh nain rab ka koii chehra wehra nain hota
Irshad Siddique "Shibu"
1 likes
zaraa main bhi dekhooñ vo dilli cheez hai kya dost jahaan pe aa ke mujh...ko bhool ga.e
Irshad Siddique "Shibu"
1 likes
is tarah se usne mujh...ko yaad rakkha hai naam apne bete ka irshaad rakkha hai
Irshad Siddique "Shibu"
1 likes
purane mahal tootaa dekh kar mujhe boodha hone se dar lagta hai
Irshad Siddique "Shibu"
1 likes
saath men masjid ka mehmaan chala jaayega jaise hi mahe ramzaan chala aayega
Irshad Siddique "Shibu"
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Irshad Siddique "Shibu".
Similar Moods
More moods that pair well with Irshad Siddique "Shibu"'s sher.







