shikwe hamko paas hamesha le aate maanjha gujlaa hota hai suljhaane ko
Related Sher
gale to lagana hai us se kaho abhii lag jaa.e yahii na ho meraa us ke baghair jee lag jaa.e main aa raha hooñ tere paas ye na ho ki kahii teraa mazaak ho aur meri zindagi lag jaa.e
Tehzeeb Hafi
267 likes
vo paas kya zaraa sa muskuraa ke baith gaya main is mazaaq ko dil se laga ke baith gaya darkhat kaat ke jab thak gaya lakadhara to ik darkhat ke saa.e men ja ke baith gaya
Zubair Ali Tabish
99 likes
hamesha ik doosre ke haq men dua karenge ye tay hua tha milen ya bichhade magar tumheen se vafaa karenge ye tay hua tha
Shabeena Adeeb
87 likes
yaqeen kar vo tire paas laut aayega jab us ka uthne lagega yaqeen logon se
Varun Anand
72 likes
ye uski mohabbat hai ki rukta hai tere paas varna teri daulat ke siva kya hai tere paas
Zia Mazkoor
88 likes
More from Shan Sharma
zaKHm tujhko navaaz doon bhi gar par na dhokha main dilruba dooñga
Shan Sharma
0 likes
hamaare darmiyaañ jo hai gawara ho nahin saktaa yahii main tum raha to kuchh hamaara ho nahin saktaa mujhe to ishq lagta hai KHuda ka mo'jiza koii mira jismoon kii chaahat se guzaara ho nahin saktaa
Shan Sharma
0 likes
ye KHushi cigarette samjhti hain chhodta sog aasmaañ par main
Shan Sharma
1 likes
yahaañ KHat hain likhe rakhe kaii benaam bemanzil mujhe dar hai ki shikaayat KHat sar-e-akhbaar karta hai
Shan Sharma
1 likes
nibhaaogi jo tum vaa'da karogi wafa ka ya kahiin sauda karogi jise tum dhoondhti rahtii ho mujh men mila vo ghair men to kya karogi
Shan Sharma
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shan Sharma.
Similar Moods
More moods that pair well with Shan Sharma's sher.







