tum aa gae ho to kuchh chandni si baten hon zamin pe chand kahan roz roz utarta hai how often does the moon condescend to come to earth let us talk of love and joy now that you are here
Related Sher
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
More from Waseem Barelvi
nazarandaaz karne kii saza deni thii tujh ko tere dil men utar jaana zaroori ho gaya tha
Waseem Barelvi
0 likes
jaisa dikhaai dene kii karte ho koshishein main khoob jaanta hooñ ki aise nahin ho tum
Waseem Barelvi
23 likes
zaraa sa qatra kahii aaj agar ubharta hai samundron hi ke lehje men baat karta hai
Waseem Barelvi
33 likes
tumhaara pyaar to saanson men saans leta hai jo hota nashsha to ik din utar nahin jaata
Waseem Barelvi
24 likes
sab ke chehre pe jo tanqeed kiya karte hain aaina un ko dikha do to mazaa aa jaa.e
Waseem Barelvi
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's sher.







