tumhaare aane ki ummeed bar nahin aati main raakh hone laga hooñ diye jalate hue
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
More from Azhar Iqbal
har ek samt yahaañ vahshaton ka maskan hai junoon ke vaaste sehra o aashiyana kya
Azhar Iqbal
30 likes
kahiiñ abeer kii khushboo kahiiñ gulaal ka rang kahiiñ pe sharm se simte hue jamaal ka rang chale bhi aao bhula kar sabhi gile-shikwe barsna chahiye holi ke din visaal ka rang
Azhar Iqbal
0 likes
hai ab bhi bistar-e-jaan par tire badan ki shikan main KHud hi mitne laga hooñ use mitaate hue
Azhar Iqbal
46 likes
na jaane khatm hui kab hamaari aazaa dii taalluqaat ki paabandiyaan nibhaate hue
Azhar Iqbal
34 likes
neend aayegi bhala kaise use shaam ke baa'd rotiyaan bhi na muyassar hon jise kaam ke baa'd
Azhar Iqbal
45 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Azhar Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Azhar Iqbal's sher.







