tumne jab se apni palkon par rakha kaalikh ko sab kaajal kaajal kahte hain ishq men paagal hi to hona hota hai paagal hain jo mujh...ko paagal kahte hain
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
tum un ke wa'de ka zikr un se kyun karo ghalib ye kya ki tum kaho aur vo kahein ki yaad nahin
Mirza Ghalib
123 likes
nigaahen fer li ghabra ke maine vo tum se khoobsurat lag rahi thii
Fahmi Badayuni
123 likes
More from Vishal Bagh
abhii rone do shammo ko mat roko ye parwaane ka maatam kar rahi hain
Vishal Bagh
31 likes
uski tasveer band aankhoñ se pahle banti thii ab nahin banti
Vishal Bagh
36 likes
usne mehfil se uthaya hamko jis..ko palkon pe bithaaya hamne
Vishal Bagh
34 likes
du aa.e maangte hain isi li.e apne ujhadne ki ha men to yaar tere haath se taameer hona hain
Vishal Bagh
27 likes
mujh...ko uski nazre apne chehre par mehsoos hui iska matlab usne meri tasveero ko dekha hain
Vishal Bagh
47 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Vishal Bagh.
Similar Moods
More moods that pair well with Vishal Bagh's sher.







