tumse bichhad jaane ka khyaal achha hai kyonki abhii meraa bhi haal achha hai usne poocha tumhe kitnii mohabbat hai mujhse maine kaha maaloom nahin sawaal achha hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
More from karan singh rajput
ye kaisa jaadu tune kar diya hai mujhpe meri jaañ kisi ko bhi main dekhooñ chehra teraa yaad aata hai
karan singh rajput
0 likes
kiya jo saath uske maine mujh...ko ye laga dil se utar jaaunga lekin naiiñ
karan singh rajput
0 likes
koi tamannaa hi bache na dil men jab to phir kare kya aadmi jeeke bhala
karan singh rajput
0 likes
naya saal bhi aane ko hai mere dost puraana qalander hatana padega
karan singh rajput
0 likes
vo laakh tha bura duniya ki nazar men par usne bura kabhi bhi hamaara nahin kiya
karan singh rajput
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on karan singh rajput.
Similar Moods
More moods that pair well with karan singh rajput's sher.







