un ka ghham un ka tasavvur un ki yaad kat rahi hai zindagi aram se
Related Sher
raatein kisi yaad men kattee hain aur din daftar kha jaata hai dil jeene par mael hota hai to maut ka dar kha jaata hai sach poochho to tahzeeb haafi main aise dost se aaziz hooñ milta hai to baat nahin karta aur phone pe sar kha jaata hai
Tehzeeb Hafi
307 likes
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
Sahir Ludhianvi
174 likes
ham ko yaaron ne yaad bhi na rakha jaun yaaron ke yaar the ham to
Jaun Elia
185 likes
mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai
Tehzeeb Hafi
213 likes
tere jaane ke baad bas yaaden har taraf yaad-yaad bas yaaden sona chaan dii zameen ghar sab kuchh hain meri jaayadaad bas yaaden
Sandeep Thakur
81 likes
More from Mahshar Inayati
chale bhi aao mire jeete-ji ab itnaa bhina intizaar badhaao ki neend aa jaa.e
Mahshar Inayati
7 likes
har ek baat zabaan se kahii nahin jaati jo chupke baithe hain kuchh unki baat bhi samjho
Mahshar Inayati
10 likes
qasam jab usne khaai hamne e'tibaar kar liya zaraa sii der zindagi ko khush-gawaar kar liya
Mahshar Inayati
12 likes
lab pe ik naam hamesha kii tarah aur kya kaam hamesha kii tarah
Mahshar Inayati
12 likes
na gair hi mujhe samjho na dost hi samjho mire li.e ye bahut hai ki aadmi samjho
Mahshar Inayati
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mahshar Inayati.
Similar Moods
More moods that pair well with Mahshar Inayati's sher.







