wafaon ke badle jafaa kar rahe hain main kya kar raha hooñ vo kya kar rahe hain
Related Sher
hazaar ishq karo lekin itnaa dhyaan rahe ki tum ko pahli mohabbat ki baddua na lage
Abbas Tabish
179 likes
us..ko fursat nahin milti ki palat kar dekhe ham hi deewane hain deewane bane rahte hain
Waseem Barelvi
151 likes
manzilen kya hain raasta kya hai hausla ho to fasla kya hai
Aalok Shrivastav
152 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
More from Behzad Lakhnavi
main Dhoondh raha hooñ mirii vo shama' kahaan hai jo bazm ki har cheez ko parwaana banaa de
Behzad Lakhnavi
19 likes
ai dekhne waalo mujhe hañs hañs ke na dekho tum ko bhi mohabbat kahiin mujh sa na banaa de
Behzad Lakhnavi
12 likes
zinda hooñ is tarah ki gham-e-zindagi nahin jalta hua diya hooñ magar raushni nahin
Behzad Lakhnavi
21 likes
ai dil ki khalish chal yoonhi sahi chaltaa to hooñ un ki mehfil meinus vaqt mujhe chauka dena jab rang pe mehfil aa jaa.e
Behzad Lakhnavi
21 likes
mujhe to hosh na tha un ki bazm men lekin khamoshiyon ne meri un se kuchh kalaam kiya
Behzad Lakhnavi
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Behzad Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Behzad Lakhnavi's sher.







