vahshat-e-dil ke khareedaar bhi napaaid hue kaun ab ishq ke bazaar men kholega dukaaan
Related Sher
kya khabar kaun tha vo aur meraa kya lagta tha jisse milkar mujhe har shaKHs bura lagta tha
Tehzeeb Hafi
444 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
agar hai ishq saccha to nigaahon se bayaañ hogaa zabaan se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
Bhaskar Shukla
130 likes
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
More from Ibn E Insha
be tere kya vehshat ham ko tujh bin kaisa sabr o sukoon tu hi apna shahar hai jaani tu hi apna sehra hai
Ibn E Insha
18 likes
aan ke is beemaar ko dekhe tujh ko bhi taufeeq hui lab par us ke naam tha teraa jab bhi dard shadeed hua
Ibn E Insha
18 likes
jo motiyon kii talab ne kabhi udaas kiya to ham bhi raah se kankar samet laaye bahut
Ibn E Insha
9 likes
ek se ek junoon ka maara is bastii men rehta hai ek humeen hushiyaar the yaaro ek humeen bad-naam hue
Ibn E Insha
19 likes
meer se bai'at ki hai to insha meer ki bai'at bhi hai zaroor shaam ko ro ro subh karo ab subh ko ro ro shaam karo
Ibn E Insha
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibn E Insha.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibn E Insha's sher.







