vo kab sunne lage qasid magar yuun hi suna dena mila kar dusron ki dastan men dastan meri
Related Sher
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
main us se ye to nahin kah raha juda na kare magar vo kar nahin saka to phir kaha na kare vo jaise chhod gaya tha mujhe use bhi kabhi KHuda kare ki koi chhod de KHuda na kare
Tehzeeb Hafi
266 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kehna ki yuñ hota to kya hota
Mirza Ghalib
149 likes
KHud se bhi mil na sako itne paas mat hona ishq to karna magar devdaas mat hona dekhna chaahna phir maangna ya kho dena ye saare khel hain in men udaas mat hona
Kumar Vishwas
117 likes
More from Unknown
kaii jawaabon se achchhii hai KHaamushi merina jaane kitne sawaalon kii aabroo rakhe
Unknown
16 likes
takra gaya vo mujh se kitaaben li.e hue phir meraa dil aur us kii kitaaben bikhar gaiin
Unknown
14 likes
ye saal bhi udaasiyaan de kar chala gaya tum se mile baghair december chala gaya
Unknown
18 likes
na hon ashaar men maani na sahi KHud kalaami ka zariya hi sahi tum na nawaazo she'r ko na sunaayenge ye meraa zaati nazariya hi sahi
Unknown
21 likes
eed ke baa'd vo milne ke li.e aa.e hain eed ka chaand nazar aane laga eed ke baa'd
Unknown
21 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Unknown.
Similar Moods
More moods that pair well with Unknown's sher.







