yah maut mere saath chalti hai magar main kuchh nahin kar saka main majboor hooñ
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
296 likes
More from Meem Alif Shaz
zindagi tujh ko na jee paa.e ham waqt ne dard diya jab itnaa
Meem Alif Shaz
0 likes
zindagi ko dhoondhne men yah jawaani bhi gaii khoobsurat sii hamaari vo kahaanii bhi gaii bachpane men khoob chalti thii hamaari zindagi jab se fikren aayi hain is kii ravaani bhi gaii
Meem Alif Shaz
0 likes
zindagi ko hoton se choone ka man hai dard bhi gham bhi agar mujh ko de mohlat
Meem Alif Shaz
0 likes
zindagi kitnii ajnabi hogii maut ke baad jo mili hogii vo dara hogaa phir hansa hogaa jab use raushni mili hogii
Meem Alif Shaz
0 likes
zindagi ki uljhane boodha na kar de raat bhar yah soch kar sote nahin ham
Meem Alif Shaz
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meem Alif Shaz.
Similar Moods
More moods that pair well with Meem Alif Shaz's sher.







