ye ishq ka safar to theek par raasta ajeeb hai
Related Sher
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
ab lagta hai theek kaha tha ghalib ne badhte-badhte dard davaa ho jaata hai
Madan Mohan Danish
131 likes
agar hai ishq saccha to nigaahon se bayaañ hogaa zabaan se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
Bhaskar Shukla
130 likes
KHud se bhi mil na sako itne paas mat hona ishq to karna magar devdaas mat hona dekhna chaahna phir maangna ya kho dena ye saare khel hain in men udaas mat hona
Kumar Vishwas
117 likes
More from karan singh rajput
ye kaisa jaadu tune kar diya hai mujhpe meri jaañ kisi ko bhi main dekhooñ chehra teraa yaad aata hai
karan singh rajput
0 likes
yahii ik khaasiyat hai mujh men shaayad ki apna gham chhupa leta hooñ sabse
karan singh rajput
0 likes
meri aankhoñ ka paani dekh ai dost judaai ka sabab na pooch mujhse
karan singh rajput
0 likes
tujhe aabaad rahne ki dua deke mere haalaat par rota raha main
karan singh rajput
0 likes
tujhse ladte-ladte aaKHir is jahaan tak aa gaye dekh teri aarzoo men ham kahaan tak aa gaye
karan singh rajput
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on karan singh rajput.
Similar Moods
More moods that pair well with karan singh rajput's sher.







