ye mai-khana hai bazm-e-jam nahin hai yahan koi kisi se kam nahin hai
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
us..ko fursat nahin milti ki palat kar dekhe ham hi deewane hain deewane bane rahte hain
Waseem Barelvi
151 likes
kisi gali men kiraye pe ghar liya usne phir us gali men gharo ke kiraye badhne lage
Umair Najmi
162 likes
More from Jigar Moradabadi
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi museebat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
11 likes
koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha
Jigar Moradabadi
13 likes
yahii hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhii ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
9 likes
dono haathon se looti hai ha men kitnii zalim hai teri angadaai
Jigar Moradabadi
18 likes
vahii hai zindagi lekin jigar ye haal hai apna ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
Jigar Moradabadi
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







