ye saaniha bhi shab-e-hijr aa pada ham par teraa khyaal to aaya teri talab na hui
Related Sher
main kya bataaun vo kitna qareeb hai mere meraa khayal bhi us..ko sunaai deta hai vo jisne aankh ata ki hai dekhne ke li.e usii ko chhod ke sab kuchh dikhaai deta hai
Zubair Ali Tabish
84 likes
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
hamko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai
Mirza Ghalib
489 likes
mashwara ham bhi to de sakte the par teraa saath de rahe the ham
Vishal Singh Tabish
60 likes
More from Subhan Asad
jab bulan dii ka gumaan tha to nahin yaad aayi apni parvaaz se toote to zameen yaad aayi vahii aañkhen ki jo eemaan-shikan aañkhen hain unhin aankhoñ ki ha men daawat-e-deen yaad aayi
Subhan Asad
22 likes
tune socha bhi hai jaanaan ki tere vaade ne kitnii sadiyon se nahin pahna amal ka paikar
Subhan Asad
18 likes
kabhi na laut ke aaya vo shakhs kahtaa tha zara sa hijr hai bas sarsari bichhadna hai
Subhan Asad
24 likes
pakad men aati nahin hai kabhi vo shaakh-e-visaal ham ek bosaa-e-gul ke li.e tarsate hain
Subhan Asad
25 likes
mere shayar main vahii husne-dilaawez jise chaahne waale bahut jaanne waale kam hain
Subhan Asad
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Subhan Asad.
Similar Moods
More moods that pair well with Subhan Asad's sher.







