zamana husn nazakat bala jafa shokhi simat ke aa gae sab aap ki adaon men
Related Sher
waqif kahaan zamaana hamaari udaan se vo aur the jo haar ga.e aasmaan se
Faheem Jogapuri
85 likes
aapki saada dili KHud aapki tauheen hai husn waalon ko zara maghroor hona chahiye
Abbas Qamar
103 likes
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
tum husn ki KHud ik duniya ho shaayad ye tumhein maaloom nahin mehfil men tumhaare aane se har cheez pe noor aa jaata hai
Sahir Ludhianvi
50 likes
ishq ko poochta nahin koi husn ka ehtiraam hota hai
Asrar Ul Haq Majaz
51 likes
More from Kalidas Gupta Raza
zindagi bhar yuñ mere dil ko dukhaaya tha bahut qabr par aaya hai vo mujh se muaafi ke li.e
0 likes
zindagi bhar main boloonunga tujhko ishq ka yuñ dagaabaaz hai tu
0 likes
zindagi men mere us ne andhera kiya aur us..ko sabhi raushni kahte the
0 likes
zindagi ka har varq ba-shauq padiye ye kitaab ik roz lautaani bhi to hai
0 likes
vo jaane vaala to meri duniya hi jaise le gaya aur log kahte hain ki khaali haath jaate hain sabhi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kalidas Gupta Raza.
Similar Moods
More moods that pair well with Kalidas Gupta Raza's sher.







