Poetry Collection

Aaina

This selection of verses on mirror will surprise you at the very beginning. You would appreciate how a mirror that reflects our faces also projects the colourful images of this world. In reflecting the images of the lovers and the wide world around, the mirror acquires a symbolic identity for itself. Here, you are not before a mirror but you are face-to-face with a kind of poetry that uses mirror as a medium of complex representations.

Total

57

Sher

50

Ghazal

7

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga

apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga tum girane men lage the tum ne socha hi nahin main gira to masala ban kar khada ho jaunga mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar rasta roka gaya to qafila ho jaunga saari duniya ki nazar men hai mira ahd-e-vafa ik tire kahne se kya main bevafa ho jaunga apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin main gira to masala ban kar khada ho jaunga mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar rasta roka gaya to qafila ho jaunga sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa ek tere kahne se kya main bewafa ho jaunga

GhazalRead Full

roz taron ko numaish mein khalal padta hai

roz taron ko numaish men khalal padta hai chand pagal hai andhere men nikal padta hai ek divana musafir hai miri ankhon men vaqt-be-vaqt thahar jaata hai chal padta hai apni taabir ke chakkar men mira jagta khvab roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai roz patthar ki himayat men ghhazal likhte hain roz shishon se koi kaam nikal padta hai us ki yaad aai hai sanso zara ahista chalo dhadkanon se bhi ibadat men khalal padta hai roz taron ko numaish mein khalal padta hai chand pagal hai andhere mein nikal padta hai ek diwana musafir hai meri aankhon mein waqt-be-waqt thahar jata hai chal padta hai apni tabir ke chakkar mein mera jagta khwab roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain roz shishon se koi kaam nikal padta hai us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai

GhazalRead Full

khwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina

khvab ankhon ko hamari jo dikhae aaina khuun ke aansu vahi ham ko rulae aaina aadmi ki fitraten jaise samajhta ho sabhi aadmi ke saath aise muskurae aaina bantana to chahta hai dukh buzurgon ke magar jhurriyon ko kis tarah un ki chhupae aaina aaine ke samne se koi to hatta nahin aur kisi ko khvab tak ye darae aaina ghham nahin be-shak bikhar jaae kisi din tuut kar jhuut ke aage na sar hargiz jhukae aaina bol kar sach kaun kitne din salamat rah saka dar ke saae men hayat apni bitae aaina vaqt chehre par jab us ke likh gaya nakamiyan kaise vo divar par 'kalkal' sajae aaina khwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina khun ke aansu wahi hum ko rulae aaina aadmi ki fitraten jaise samajhta ho sabhi aadmi ke sath aise muskurae aaina bantana to chahta hai dukh buzurgon ke magar jhurriyon ko kis tarah un ki chhupae aaina aaine ke samne se koi to hatta nahin aur kisi ko khwab tak ye darae aaina gham nahin be-shak bikhar jae kisi din tut kar jhut ke aage na sar hargiz jhukae aaina bol kar sach kaun kitne din salamat rah saka dar ke sae mein hayat apni bitae aaina waqt chehre par jab us ke likh gaya nakaamiyan kaise wo diwar par 'kalkal' sajae aaina

GhazalRead Full

ye shabnam phul tare chandni mein aks kis ka hai

ye shabnam phuul taare chandni men aks kis ka hai sunahri dhuup chhanv raushni men aks kis ka hai ye dhalti shaam ye qaus-e-quzah ki rang-amezi ye niile asman ki dilkashi men aks kis ka hai suhani shab liye aghhosh men khvabon ki pariyon ko chamakte din ki is afsun-gari men aks kis ka hai ana ki sar-kashi ummid-e-arman khvab ki duniya dhadakte dil fusun-e-zindagi men aks kis ka hai ye 'sayyad' khvab se tarshe hue nazuk hasin paikar nuqush-e-rashk-e-sehr-e-samri men aks kis ka hai ye shabnam phul tare chandni mein aks kis ka hai sunahri dhup chhanw raushni mein aks kis ka hai ye dhalti sham ye qaus-e-quzah ki rang-amezi ye nile aasman ki dilkashi mein aks kis ka hai suhani shab liye aaghosh mein khwabon ki pariyon ko chamakte din ki is afsun-gari mein aks kis ka hai ana ki sar-kashi ummid-e-arman khwab ki duniya dhadakte dil fusun-e-zindagi mein aks kis ka hai ye 'sayyad' khwab se tarshe hue nazuk hasin paikar nuqush-e-rashk-e-sehr-e-samri mein aks kis ka hai

GhazalRead Full

han mante hain sach hi batata hai aaina

haan mante hain sach hi batata hai aaina phir bhi bahut se raaz chhupata hai aaina guzre qarib se to haqiqat pata chali dayan hamesha bayan dikhata hai aaina jab raat khud pe guzri to ham ko yaqin hua rote hue ko aur rulata hai aaina ghham zindagi ke hon ya mohabbat ka dard ho har vaqt hanste rahna sikhata hai aaina vaise ye khaas baat to har aaine men hai roo.ge tum to ashk bahata hai aaina han mante hain sach hi batata hai aaina phir bhi bahut se raaz chhupata hai aaina guzre qarib se to haqiqat pata chali dayan hamesha bayan dikhata hai aaina jab raat khud pe guzri to hum ko yaqin hua rote hue ko aur rulata hai aaina gham zindagi ke hon ya mohabbat ka dard ho har waqt hanste rahna sikhata hai aaina waise ye khas baat to har aaine mein hai rooge tum to ashk bahata hai aaina

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Aaina FAQs

Aaina collection me kya milega?

Aaina se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.