kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the vo aenge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi