tujhe pukara hai be-irada
tujhe pukara hai be-irada jo dil dukha hai bahut ziyada nadim ho tera harf-e-shirin to rang par aae rang-e-bada ata karo ik ada-e-dairin to ashk se tar karen libada na jaane kis din se muntazir hai dil-e-sar-e-rah-guzar fitada ki ek din phir nazar men aae vo bam-e-raushan vo dar kushada vo aae pursish ko phir sajae qaba-e-rangin ada-e-sada tujhe pukara hai be-irada jo dil dukha hai bahut ziyaada nadim ho tera harf-e-shirin to rang par aae rang-e-baada ata karo ek ada-e-dairin to ashk se tar karen libaada na jaane kis din se muntazir hai dil-e-sar-e-rah-guzar fitada ki ek din phir nazar mein aae wo baam-e-raushan wo dar kushada wo aae pursish ko phir sajae qaba-e-rangin ada-e-sada