Poetry Collection

Hunger

Hunger par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

6

Sher

6

Ghazal

0

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

duniya mein jitni laantein hain, bhook unki maan hai.

~ Saadat Hasan Manto

bhook kisi qism ki bhi ho, bahut khatarnaak hai.

~ Saadat Hasan Manto

bhook kisi qism ki bhi ho, bahut khatarnaak hai. aazaadi ke bhookon ko agar ghulaami ki zanjeerein hi pesh ki jaati rahin to inquilaab zaroor hoga... roti ke bhooke agar faaqe hi kheenchte rahe to woh tang aa kar doosre ka niwaala zaroor chhinenge... mard ki nazron ko agar aurt ke deedaar ka bhooka rakha gaya to shaayad woh apne hum-jinson aur haiwaanon mein uska aks dekhne ki koshish karein.

hindi hindustani aur urdu hindi ke qaziye se humein koi waasta nahi. hum apni mehnat ke daam chaahte hain. mazmoon-naveesi hamara pesha hai, phir kya wajah hai ki hum uske zariye se zinda rahne ka mutaaliba na karein. jo parche, jo risaale, jo akhbaar hamaari tahreeron ke daam adaa nahi kar sakte bilkul band ho jaane chaahiyein.

~ Saadat Hasan Manto

mazmoon-nigaar dimaaghi ayyaash nahi. afsaana-nigaar khairaati haspataal nahi hain. hum logon ke dimaagh langar-khaane nahi hain.

~ Saadat Hasan Manto

sabse badi shikaayat mujhe un adeebon, shaayeron aur afsaana-nigaaron se hai jo akhbaaron aur risaalon mein baghair muaaweze ke mazmoon bhejte hain. woh kyun us cheez ko paalte hain jo eik kheel bhi unke munh mein nahi daalti. woh kyun aisa kaam karte hain jisse unko zaati faayeda nahi pahunchta. woh kyun un kaaghazon par naqsh-o-nigaar banaate hain jo unke liye kafan ka kaam bhi nahi de sakta.

~ Saadat Hasan Manto

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Hunger FAQs

Hunger collection me kya milega?

Hunger se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.