sherKuch Alfaaz

sabse badi shikaayat mujhe un adeebon, shaayeron aur afsaana-nigaaron se hai jo akhbaaron aur risaalon mein baghair muaaweze ke mazmoon bhejte hain. woh kyun us cheez ko paalte hain jo eik kheel bhi unke munh mein nahi daalti. woh kyun aisa kaam karte hain jisse unko zaati faayeda nahi pahunchta. woh kyun un kaaghazon par naqsh-o-nigaar banaate hain jo unke liye kafan ka kaam bhi nahi de sakta.

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Saadat Hasan Manto.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Saadat Hasan Manto's sher.