miri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin jise tere ghham se ho vasta vo khizan bahar se kam nahin
Poetry Collection
Khizan
Autumn is not only a season in poetry; it is also a powerful symbol. It represents a state of life that is the opposite of spring, and brings suffering. This is represented as a season of separation in the life of a lover. It may also be a symbol of suffering in life. Read some of these verses and consider its multiple representations.
Total
20
Sher
19
Ghazal
1
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam
khizan men duuba hua hai bahar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat men lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke ravish ravish men basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal men ulajh raha hai rag-e-jan se daar ka mausam hava ki guunj men bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam ravana hone ko hai shauq ka har ik lamha badalne vaala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jan pe abhi barg-o-bar ka mausam khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat mein lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihaal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahaar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke rawish rawish mein basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal mein ulajh raha hai rag-e-jaan se dar ka mausam hawa ki gunj mein bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam rawana hone ko hai shauq ka har ek lamha badalne wala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jaan pe abhi barg-o-bar ka mausam
putliyan tak bhi to phir jaati hain dekho dam-e-naza vaqt padta hai to sab aankh chura jaate hain
ajab bahar dikhai lahu ke chhinton ne khizan ka rang bhi rang-e-bahar jaisa tha
miri bahar men aalam khizan ka rahta hai hua jo vasl to khatka raha judai ka
raanai-e-bahar pe the sab farefta afsos koi mahram-e-raz-e-khizan na tha
aamad aamad hai khizan ki jaane vaali hai bahar rote hain gulzar ke dar baghhban khole hue
khizan jab tak chali jaati nahin hai chaman valon ko niind aati nahin hai
kya khabar mujh ko khizan kya chiiz hai kaisi bahar ankhen kholin aa ke main ne khana-e-sayyad men
khizan ka zahr saare shahr ki rag rag men utra hai gali-kuchon men ab to zard chehre dekhne honge
aenge vaqt-e-khizan chhod de aai hai bahar le le sayyad qasam rakh de gulistan sar par
baaghh ka dard usi phuul ke dil se puchho muskurata hua jo daur-e-khizan se guzre
khizan-ruton ke parindo! palat ke aa jaao darakht dene lage hain hari bhari avaz
jo thi bahar to gaate rahe bahar ka raag khizan jo aai to ham ho gae khizan ki taraf
miri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin jise tere ghham se ho vasta vo khizan bahar se kam nahin
khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam
khizan men duuba hua hai bahar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat men lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke ravish ravish men basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal men ulajh raha hai rag-e-jan se daar ka mausam hava ki guunj men bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam ravana hone ko hai shauq ka har ik lamha badalne vaala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jan pe abhi barg-o-bar ka mausam khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat mein lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihaal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahaar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke rawish rawish mein basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal mein ulajh raha hai rag-e-jaan se dar ka mausam hawa ki gunj mein bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam rawana hone ko hai shauq ka har ek lamha badalne wala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jaan pe abhi barg-o-bar ka mausam
putliyan tak bhi to phir jaati hain dekho dam-e-naza vaqt padta hai to sab aankh chura jaate hain
ajab bahar dikhai lahu ke chhinton ne khizan ka rang bhi rang-e-bahar jaisa tha
miri bahar men aalam khizan ka rahta hai hua jo vasl to khatka raha judai ka
raanai-e-bahar pe the sab farefta afsos koi mahram-e-raz-e-khizan na tha
jo thi bahar to gaate rahe bahar ka raag khizan jo aai to ham ho gae khizan ki taraf
aamad aamad hai khizan ki jaane vaali hai bahar rote hain gulzar ke dar baghhban khole hue
gulon ka daur hai bulbul maze bahar men luut khizan machaegi aate hi is dayar men luut
kya khabar mujh ko khizan kya chiiz hai kaisi bahar ankhen kholin aa ke main ne khana-e-sayyad men
us ko khizan ke daur men baghhi samajh ke chuum jo bhi shajar pe akhiri patta dikhai de
aenge vaqt-e-khizan chhod de aai hai bahar le le sayyad qasam rakh de gulistan sar par
kaisi rut thi sabz ummiden bhi piili pad gaiin ab se pahle mere kuche men khizan aisi na thi
khizan-ruton ke parindo! palat ke aa jaao darakht dene lage hain hari bhari avaz
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Khizan FAQs
Khizan collection me kya milega?
Khizan se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.