aakhiri bar aah kar li hai
akhiri baar aah kar li hai main ne khud se nibah kar li hai apne sar ik bala to leni thi main ne vo zulf apne sar li hai din bhala kis tarah guzaroge vasl ki shab bhi ab guzar li hai jan-nisaron pe vaar kya karna main ne bas haath men sipar li hai jo bhi mango udhar dunga main us gali men dukan kar li hai mera kashkol kab se khali tha main ne is men sharab bhar li hai aur to kuchh nahin kiya main ne apni halat tabah kar li hai shaikh aaya tha mohtasib ko liye main ne bhi un ki vo khabar li hai aakhiri bar aah kar li hai main ne khud se nibah kar li hai apne sar ek bala to leni thi main ne wo zulf apne sar li hai din bhala kis tarah guzaroge wasl ki shab bhi ab guzar li hai jaan-nisaron pe war kya karna main ne bas hath mein sipar li hai jo bhi mango udhaar dunga main us gali mein dukan kar li hai mera kashkol kab se khali tha main ne is mein sharab bhar li hai aur to kuchh nahin kiya main ne apni haalat tabah kar li hai shaikh aaya tha mohtasib ko liye main ne bhi un ki wo khabar li hai