amal ka radd-e-amal waqt ka jawab hun main
amal ka radd-e-amal vaqt ka javab huun main qubul kijiye qudrat ka intikhab huun main aziyyaton ka safar sabr aur khamoshi abhi to saare mahazon pe kamyab huun main tumhare shauq men shamil nahin junun abhi tumhari tishna-labi ke liye sarab huun main ana pe aai to takra gai huun dariya se bisat vaise miri kuchh nahin habab huun main amal ka radd-e-amal waqt ka jawab hun main qubul kijiye qudrat ka intikhab hun main aziyyaton ka safar sabr aur khamoshi abhi to sare mahazon pe kaamyab hun main tumhaare shauq mein shamil nahin junun abhi tumhaari tishna-labi ke liye sarab hun main ana pe aai to takra gai hun dariya se bisat waise meri kuchh nahin habab hun main